Saturday, February 6, 2010

Aye Maa Teri Azmath Ko Mera


Azal se lekar abad tak, Godh se lekar khabar tak
Har ek dukh saha tune, Par kabhi uff na kaha tune
Tere hone se mera wajood hai, Isliye mera sar justajoo hai

Teri aanchal ke chaon mein mera bachpan bada
Tere saaye mein zindagi ka sabab pada.

Kya kuch nahi kiya meri khatir, Zuban pe aaya na phir bhi haroof ye aakhir.
Maa rishton mein ooncha tera maqam,

Aye Maa teri azmat ko mera salaam.

Beta beta kahte huye Maa kabhi thakti nahi,
Dukh ho ke sukh yeh aankh kabhi chookti nahi.

Sukoon hi sukoon hai teri godh mein,
Deen wa duniya ki daulat hai teri godh mein.

Yahi ek awwaz yeh rahmani hai, Jo bahraa duniya ko ab batani hai.
Ooncha bol na koi Maa se bole, Gham ho ke khushi na Maa ka adab bhoole.

Dekhna maa ko ehsaas E tanhai na ho,
Zara si bhool se hasher mein ruswai na ho.

Mim se Mohammed Salle Aala Walahi Wa Sallam,
Mim se Mehboob.
Maa naam Mim se, Mim se matloob.

Teri mamta ne pahna mohabbat ka paighaam,
Aye Maa teri azmat ko mera salaam.

Mere aaqa ne jo tujhe rutba diya,
Rang azmat ka tera dobala kardiya.

Maa kahne se dil ko sukoon milta hai,
Dare firdaus tere paun tale khilta hai.

Maa ki awaaz mein ek mitaas hai,
Bujao is mitaas se jisko bhi pyaas hai.

Kaun jaane kab tak tumhare khareeb hai,
Saath hai Maa ka tho tumhara naseeb hai.

Yeh rishta kitna gahra hai, Tumhare sar Maa ka sahraa hai.

Roze mahshar kuch bhi anjaam mera,


Faqt Maa ke qadmon mein ho eqtetaam mera.

Tere huzoor kahan tak likhu, Aye Maa Teri Azmat ko mera Salaam.


Monday, February 1, 2010

Thursday, January 21, 2010